Thursday, 7 July 2011

Woh Ishq Nahi...!

Chalo Woh Ishq Nahi Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,
Tu Apni Sheesha Gari ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,
Main Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,
Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,
Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,
Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,
Yeh Khud Aziyati Kab Tak “WaQaS”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai...!

Kabhi mom ban k pighal gya...!

Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,
Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,
Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!
Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,
Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.
Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.
Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka…!

Dil-E-Naadaan se kaho....!

Is meN kuchh apne pyaar ki izzat ka hai sawaal
Aa jaaye raah par dil E naadaan se kaho
Tark E wafaa jahaaN meN koi jurm to nahi
Kya tum wafaa shu’aar ho? eemaan se kaho
Us dar pe ahl E dil ko nahi puuchhta koi
Tum ek rayees E shahr ho! darbaan se kaho
KyuN le rahe ho hazrat E naaseh ka imtehaaN
Jo dil ki baat hai kisi insaan se kaho
Humne banaa liyaa hai naya phir se aashiyaaN
Jaao yeh baat phir kisi toofaan se kaho
Kis muNh se ab ‘Qateel’ pe dharte ho tohmateN
Yeh sab hikaayateN kisi anjaan se kaho…!!!!

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay..!

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
Sath ChaL Mauj-e-Saba Hou Jaisay
Laug Yun Dekh Kar Hans Detay Hain
Tu Mujhay BhooL Gayee Hou Jaisay
Ishq Ko ShirK Ki Hudh Tak Na Bharha
Yun Na MiL Hum Se KHUDA Hou Jaisay
MauT Bhi Aaye Tu Es NaaZ Ke Sath
Mujh Pe Ehsaan Kya Hou Jaisay
Aisay AnjaaN Banay Bethay Hou
TumKo Kuch Bhi Na PaTa Hou Jaisay
HichKiyaan RaaT Ko AaTi Hi RaheiN
TuM Ne Phir YaaD Kya Hou Jaisay
ZindaGi BheeT Rahi Hai Aisay
Ek BaeJurM SaZa Hou Jaisay …!

Mujh ko tanha kar gya dosti karne ka shoq...!

Kya khabar thi, maar de ga zindagi karne ka shaoq
Mujh ko tanha kar gaya hai dosti karne ka shaoq
کیا خبر تھی، مار دے گا زندگی کرنے کا شوق
مجھ کو تنہا کر گیا ہے، دوستی کرنے کا شوق
Go meri aoqaat jugnoo ke baraabar bhi nahi
Par hai sooraj se zyaada raoshani karne ka shaoq
گو میری اوقات جگنو کے برابر بھی نہیں
پر ہے سورج سے زیادہ روشنی کرنے کا شوق
Jab se chooma hai jabeen ne aap ki dehleez ko
Mere dil ma baRh gaya hai bandagi karne ka shaoq
جب سے چُوما ہے جبیں نے آپ کی دہلیز کو
میرے دل میں بڑھ گیا ہے بندگی کرنے کا شوق
Jaane kis barsaat ki maqrooz hain aankhein meri
Ho gaya hai baarishon ki pairawi karne ka shaoq
جانے کس برسات کی مقروض ہیں آ نکھیں میری
ہو گیا ہے بارشوں کی پیروی کرنے کا شوق

Kabhi khud pe kabhi halaat Pay....!

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…
Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko…
Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai…
Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost…
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya...!

KaroGy Yaad Ek Din...!

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

Jise bhulaye kayi saal ho gaye...!

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise

Roo Parti Thi....!

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he.
wo mera khatt jo jalati he to ro parti he.
khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti he.
log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati he to ro parti he.
yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,
shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he.
woh bary zubt bhary hosly wali larki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti he.

Sad shayari about life…

Kuch sochu to tera khayaal aa jata hai
kuch bolu o tera naam aa jata hai
kab tk chupau dil ki baat
uski har ada pr humko pyar aa jata hai….

Koi Chehra Hua...!

Koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
Aina dekh rahi thin meri pathar ankhain
Le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah
Aaj phir dhund rahi hain wahi manzar ankhain
Phut niklin to kai shahar-e-tamanna dube
Ek qatre ko tarasati hui banjar ankhain
Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
Apne halakon se nikal ai hain bahar ankhain
Tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
Teri janib to utha karati hain aksar ankhain
Log marte na dar-o-bam se takara ke kabhi
Dekh lete jo ‘Kamal’ us ki samandar ankhain...!

khush Nigah Se Aankh Ne...!

Kisi khush nigah si ankh ne yeh kamal mujh pe karam kiya
meri loh-e-jaan pe raqam kiya
woh jo aik chand sa harf tha woh jo aik sham sa nam tha
woh jo aik phool si bat phirti thi darbadar
usse gulsitan ka pata diya
mera dil ke shehar-e-malal tha usse roshni mein basa diya
meri ankh aur mere khawab ko kisi aik pal mein beham kiya-
mere aeenon pe jo gard thi meh-o-saal ki
woh utar gaee
woh jo dhund thi mere char soo woh bikhar gae
sabhi roop aks-e-jamal ke
sabhi khawab sham-e-wisaal ke
jo ghubar-e-waqt mein sar basar thay atay hue
woh chamak uthe
woh jo phool rah ki dhool thay, woh mehak uthe,
liye sat rang bahar ke
chala mein jo sang bahar ke!
to saja diye sabhi raste,
kisi dast-e-shoabda saz ne
mere nam par, mere wastay,
meri beghari ko panah di, meri justujoo ko nishan diya
jo yaqeen se bhi haseen hai mujhe aik aisa guman diya
woh jo reza reza wujood tha
usse aik nazar mein baham kiya
kisi khush nigah si ankh ne
yeh kamal mujh pe karam kiya!!

Itne Bhary Daleel

Tum bohat jazib-o-jameel sahi zindgi jazib-o-jameel nahi
mat karo behas haar jao gi husn itni bari daleel nahi…..!!

Missing You







Love












Hearts





"I Love You"

"I Love You"
Want to know why?
Because you are my air,
Without you there would be no me!

"I Love You"
Want to know when?
Now and 1000 years after
I’m gone!

"I Love You"
Want to know where?
Here, there, everywhere,
Even if I’m not there
I will love you!

Won Jisy Samjthy Thy Zindgi..!

Wo jise smajty thy zindgi...
Meri dharkno ka fareb tha...
Muje muskrana sikha k wo...
Meri ruh tk ko rula gya...
Wo k jsko pane ki chah mean...
Me kabi khilta gulab tha...

Meri pati pati bikhr gai...

Muje aisi thokr laga gya...

Ajab shaks tha wo ay zindgi...

Jise smaj k b na smaj saka...

Muje chahta b gazab ka tha...

Muje chor k b chla gya...!

Wednesday, 6 July 2011

Short Poetrys

    Meri PehChan
 
Dushman ko hazaar mauke do ,
Ki woh tumhara dost ban jaye.
Lekin dost ko ek bhi mauka mat do,
Ki woh tumhara dushman ban jaye.

............................................
    Gum Ban Gae Apne

Dil ne gamo ko apna bana liya,
chaha jise usne kisi or ko apna liya,
mangi dua khuda se ke mere pyar ko kush rakhna,
kabul hui dua kuchh is treh k
mhuda ne hume hi uppar bula liya...!

............................................

    Bewafaa Na Kaho.

bewafa na kaho uun is trah apne aap ko,
chot humare is dil par lagti hai
jaan dene ki sochte ho tum,
or saanse humari rukti hai...!

............................................

    Woh Sochty Hon Gay.

Woh sochte honge usko aksar,
jo hamein unke salaam de jaati hai,
vo kya jaane unhein choone waali hawa bhi,
hamein unke saare paigaam de jaati hai!
 

   
       

Mil Ke BicCharna....!

Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta
Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta
Tere khaloos-e- Mohabbat pe aetbaar hai itna
Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta
Tu mera Pyaar meri zindagi mera sab kuch
Bina tere yeh jeewan to mujhe accha nahi lagta
Bohat mushkil se milte hain kisi ko chahne wale
Main jis ko chahta hoon woh mujhe hi nahi milta
Dil to kya Jaan bhi main us ko dedeta
Woh ek baar apne Pyaar ka izhaar to karta…!

Tuesday, 5 July 2011

HASRATH - Urdu Poetry

"HASRATH"

Dil Tor Ke Tukre Kar Diye Ussne
Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne
Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse
Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse
Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh
Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse
Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke
Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke
Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi
Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun May Dhalke...!