Thursday, 7 July 2011

Woh Ishq Nahi...!

Chalo Woh Ishq Nahi Chahne Ki Aadat Hai
Par Kiya Kareen Hume Ek Dosre Ki Aadat hai,
Tu Apni Sheesha Gari ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aayena Hoon Mujhe Tootne Ki Adat Hai,
Main Kiya Kahoon K Mujhe Sabar Kiyo Nahi Aata
Main Kiya Karoon K Tujhe Dekhne Ki Aadat Hai,
Tere Naseeb Main Aye Dil e Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sawali Na Tujhe Mangne Ki Aadat Hai,
Wisal Main Bhi Wohi Firaaq Ka Aalam
K Usko Neend Mujhe Rat Jage Ki Aadat Hai,
Yeh Mushkalin Hun To Pher Kayse Raste Tay Hoon
Main Na Saboor Use Sochne Ki Aadat Hai,
Yeh Khud Aziyati Kab Tak “WaQaS”
Tu Bhi Use Na Kar Yaad Jise Bholne Ki Aadat Hai...!

Kabhi mom ban k pighal gya...!

Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,
Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,
Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!
Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,
Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.
Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.
Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka…!

Dil-E-Naadaan se kaho....!

Is meN kuchh apne pyaar ki izzat ka hai sawaal
Aa jaaye raah par dil E naadaan se kaho
Tark E wafaa jahaaN meN koi jurm to nahi
Kya tum wafaa shu’aar ho? eemaan se kaho
Us dar pe ahl E dil ko nahi puuchhta koi
Tum ek rayees E shahr ho! darbaan se kaho
KyuN le rahe ho hazrat E naaseh ka imtehaaN
Jo dil ki baat hai kisi insaan se kaho
Humne banaa liyaa hai naya phir se aashiyaaN
Jaao yeh baat phir kisi toofaan se kaho
Kis muNh se ab ‘Qateel’ pe dharte ho tohmateN
Yeh sab hikaayateN kisi anjaan se kaho…!!!!

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay..!

Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
Sath ChaL Mauj-e-Saba Hou Jaisay
Laug Yun Dekh Kar Hans Detay Hain
Tu Mujhay BhooL Gayee Hou Jaisay
Ishq Ko ShirK Ki Hudh Tak Na Bharha
Yun Na MiL Hum Se KHUDA Hou Jaisay
MauT Bhi Aaye Tu Es NaaZ Ke Sath
Mujh Pe Ehsaan Kya Hou Jaisay
Aisay AnjaaN Banay Bethay Hou
TumKo Kuch Bhi Na PaTa Hou Jaisay
HichKiyaan RaaT Ko AaTi Hi RaheiN
TuM Ne Phir YaaD Kya Hou Jaisay
ZindaGi BheeT Rahi Hai Aisay
Ek BaeJurM SaZa Hou Jaisay …!

Mujh ko tanha kar gya dosti karne ka shoq...!

Kya khabar thi, maar de ga zindagi karne ka shaoq
Mujh ko tanha kar gaya hai dosti karne ka shaoq
کیا خبر تھی، مار دے گا زندگی کرنے کا شوق
مجھ کو تنہا کر گیا ہے، دوستی کرنے کا شوق
Go meri aoqaat jugnoo ke baraabar bhi nahi
Par hai sooraj se zyaada raoshani karne ka shaoq
گو میری اوقات جگنو کے برابر بھی نہیں
پر ہے سورج سے زیادہ روشنی کرنے کا شوق
Jab se chooma hai jabeen ne aap ki dehleez ko
Mere dil ma baRh gaya hai bandagi karne ka shaoq
جب سے چُوما ہے جبیں نے آپ کی دہلیز کو
میرے دل میں بڑھ گیا ہے بندگی کرنے کا شوق
Jaane kis barsaat ki maqrooz hain aankhein meri
Ho gaya hai baarishon ki pairawi karne ka shaoq
جانے کس برسات کی مقروض ہیں آ نکھیں میری
ہو گیا ہے بارشوں کی پیروی کرنے کا شوق

Kabhi khud pe kabhi halaat Pay....!

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…
Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko…
Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai…
Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost…
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya...!

KaroGy Yaad Ek Din...!

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko